Saturday, September 27, 2008

Do tarah ke loag...Hum aur Aap

Ye world hai na world,ismein do tarah ke loag rehte hain.......Ek hamari tarah ke jo blog likhte hain aur ek aapki tarah jo parhte hain.......Hamari tarah ke loagon ko kaam se koi matlab nahi rehta,jabki aap ki tarah ke loag keval kaam se hi matlab rakhte hain(aisa hai kya......lagta nahi aap ko dekh kar)......aise loag khate peete sote jagte keval kaam ki baat karte hain,kal kya hua tha,kal kya karna hai ,isi soch mein doobe rehte hain.....aaj kaladi ka assignment to kal subhasini ko niptana hai,parso moodle pe sanjay ka quiz...kaise hoga ye sab,pareshan rehte hain........hamari tarah k loagon ke liye dono hi kal ka koi matlab nahi...beeta hua kal jaye bhand mein aur aane vale kal k liye ek straight vision "jo bhi hoga dekha jayega"....3*9 ko hamesha 3 bana k bolte hai bindassssss......zero pakar bhi bolte hain chalo minus mein to nahi aaya na......Sabke data Raam aise loago k dimag mein bahot gehrai tak ghus chuke hote hain.....Lekin inhein nikamma bhi nahi kah sakte......koi na koi kaam to ye bhi karte rehte hain.....aur jo bhi karte hain efficiently karte hain.........sapna dekhte hain to climex tak.....hindi films ki tarah hamesha happy ending ........jo bhi karte hain dil se karte hain kyunki dimag to hota hi nahi inke paas....but kahin kahin dimaag bhi lag jata hai inka BSNL network ki tarah....aise loag mentally present kahin bhi nahi rehte but mentally absent bhi nahi hote....absent aur present ke beech vala position secure mante hain ye loag.........

aap kis category mein aaoge .........just analyse urself

1 comment:

jes said...

awesome............in brief the mix of these two categories was our khalbali......that was the beauty of our class